Tum hi ne tod diya
Yehi wafaa ka silaah hai, toh koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, toh koi baat nahi
Yehi bahot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, toh koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil mein chupa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai toh koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tod diya hai toh koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai toh koi baat nahi
Ishq ke phool bhi khilte hai, bikhar jaate hai
Zakhm kaise bhi hon, kuch roze mein bhar jaate hai
Uss khwabon mein ab koi nahi aur hum bhi nahi
Itne roze se aaye hai, chup chaap guzar jaate hai
Nurm aawaaz, bholi baatain, mohazzab lehjaa
Pehle baarish mein hi, sab rang utar jaate hai
Rasta roke khadi hai, wahi uljhan kab se
Koi puche toh kahen kya ke kidhar jaate hai