Special karahi kabab
Ajza:
Qeema 1/2 kg
Piyaz 2 adad
Adrak, lehsun 2 tbsp
Hari mirch 2 adad
Hara dhaniya 1 gathi
Bread slices 2 adad
Corn Flour 1 tbsp
Baking powder 1 tsp
Garam masalha 1 tsp
Sabut Dhaniya 1 tsp
Namak hasb-e-zaiqa
Milk 1 cup
(Bread k slices ko doodh main bhigo dain , baqi cheezain qeemay main mix kar lain )
Masalha banay k liye Ajza:
Timatar 1/2 kg ( bareek mash kar lain )
Oil 1 cup
Lemon juice 2 tsp
Piyaz 1 adad
Hari mirch 2 ya 3
Zeera 1 tsp
Sugar 1 tsp
Namak hasb-e-zaiqa
Tarkeeb :
Sab se pehle karahi main oil daalain , jab oil garam ho jaye to piyaz brown kar lain phir is main mash kiye timatar , zeera , sugar , namak , lemon juice aur hari mirch daal dain aur halki aanch per rakh dain . ab doodh main bheegay slice qeemay main shaamil kar k kabab bana lain . kabab seekh kabab ki shakal main banain . tamam kabab bana kar masalhe main daal dain ooper se hara dhaniya daal kar halki aanch per 15 se 20 mint rakhain . jab tail aur masalha alag ho jaye aur gosht gal jaye to thora sa garam masalha aur hara dhaniya chirak kar utaar lain . behtreen karahi kabab tayyar hain .